Romantic Hindi Pyaar Love Shayari for my Gf bf

Ager Zindagi Mai Judai Na Hoti
To Kabhi Kisi Ki Yaad Aai Na Hoti
Sath Hi Guzarta Her Lamha To Shayaed
Rishton Mai Yeh Gehrai Na Hoti

Khushbu ki tarah meri har sans main,
Pyar apna basane ka wada karo.
Rang jitne tumhari mohabat ke hain,
Mere dil me sajane ka wada karo

Ek Nashaa Sa Hai Uski Aankhon Main,
Jine Laga Hu Uski Yaadon Main,
Khone Laga Hu Uski Baataon Main,
Kya Pta Kal Rahu Ya Nahi
Jine De Mujhe Apni Baataon Main



Apne dil ki baat unse keh nahi sakte
Bin kahe bhi ji nahi sakte
Aie khuda aisi taqdeer bana ki vo khud aakar kahe
Hum aapke bina rah nahi sakte

Zindagi Me Jo Ham Chahte Hai
Vo Asaani Sey Nhi Meelta  Lekin
Zindgi Ka Sach Yeh Bhi Hai Ki Ham
Bhi Vhi Chahten Hain Jo Asaan Nhi Hota

Dil unke liye he machalta hai
Thokar khata hai or sambhalta hai.
Kisi ne is kadar kar liya dil par kabja
Dil mera hai per unke liye dhadkta hai

Aapki Aankhen Uchi Hui To Dua Ban Gai
Neechi Hui To Haya Ban Gai
Jo Jhuk Kar Uthi To Khata Ban Gai
Aur Uth Kar Jhuki To Ada Ban Gai

Kaise kahu ki apna bana lo mujhe
bahon me apni sama lo mujhe
aaj himmat kar ke kahta hu ki
mai tumhara hu ab tum hi samhalo mujhe

Har kisi k liye yu hum wish nahi karte,
Ye Bat yahi pe hum finish nahi karte,
Agar hmara msg na aye to ye mat sochna k
Hum apko miss nahi karte…
I Love You.

Jaam se itni nafrat na karo ke
kabhi peena padhe toh pii na sako,
kisi se itni mohabbat na karo k
kabhi tanha jeena padhe toh jee na sako
Jane duniya me aisa kyu hota hai,
Jo sab ko khusi de wahi rota hai,
Umar bhar jo sath na de sake wahi,
Zindagi ka pehla pyar kyu hota hai.

Aaj dil pooch bettha apni hi tasvir se,
tune kya paya he apni hi taqdir se,
aapki tasvir dil k aaine ko dikhai,
or kha,
aisa Pyaar paya hai duniya ke bhid se

Teri nigahon ke yoon hi kayal the hum
Kya jaroorat thi aajmane ki
Yoon hi behosh pade hai teri rahon main
Kya jaroorat thi alag se muskurane ki

Dil tutna sazaa hai mohabbat ki,
dil jodna adaa hai dosti ki,
Maange jo kurbani woh hai mohabbat,
jo bin maange ho jaye kurban wo hai dosti hamari.

0 comments:

Post a Comment

Thanks